Thursday, December 30, 2010

Epiphany








Ek brahmann ne kahaa hai ke ye saal achchha hai
Ek brahmann ne kahaa hai ke ye saal achchha hai

zulm kii raat bahut jald Talegii ab to
aag chuulhon men har ik roz jalegii ab to

bhuuk ke maare koii bachchaa nahiin royegaa
chain kii niind har ik shakhs yahaan soyegaa

aandhii nafarat kii chalegii na kahiin ab ke baras
pyaar kii fasal ugaaegii zamiin ab ke baras

hai yahiin ab na koii shorsharaabaa hogaa
zulm hogaa na kahiin khuunkharaabaa hogaa

os aur dhuup ke sadamen na sahegaa koii
ab mere desh men beghar na rahegaa koii

naye vaadon kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai
rahanumaaon ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai

Dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai
Dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai


Wish 2011 bring Prosperity and Peace on this earth!!

Happy New Year 1.1.2011

No comments:

Post a Comment